Friday, March 27, 2009

sona


"chaand pe
to chandi hi
sazegi"
kitne pyaar se
behlaati thi maa
tum jab sone
ke bundoo se
mere kaan pak
jaaya karte the....
aur tum choti choti
chandi ki baaliyan
laati thi mere liyee...

kitna daan-ti
thi na maa tum
jab mitti me lot pot
ho kar khelti thi.....

pata hi na chala maa
woh bachpan ka
mitti ka ghada
kis roz foot gaya...
woh chandi ki baaliyan
kab ghat gayi...

magar maa
kyun baba se
kaha hai tumne
ki meri chanda ke
liye sone sa
shehzada dhund do

jaanti hun maa
aaj bhi mera mitti
me ghulna tumeh
pasand na aayega....
magar tum yeh
kyun bhul gayi ke
sone se aaj
bhi mere kaan
pakte hain.....

---ritu saroha----

7 comments:

स्वप्निल तिवारी said...

:)
:)
:)
:)

Unknown said...

yah kavita padhi hai aap ki shafaq par ,vilakshan rachnao me se ek hai :)

Anonymous said...

achchha likha hai.. wo to dekh ke lag rahaa hai.. bot mehnat kari hogi tab kuchh lines mili hogi ..par :P mere palle to kuchh bhi nahin pad rahaa .... :)


...VIkAsh

Azaad said...

ye bahut hi khoobsurat kavita hai jo aapne likhi hai....sach mein mann prasann ho gaya!! Mera naam shekhar hai aur main bhi kuch likhne ka shauk rakhta hoon aap zarur padiyega!! shekharekkhawab.blogspot.com

Avinash Chandra said...

Too good.......and simply too good.
Shabd nahi hain, unaakhiri soone ki boondon ke liye....main jaldi kahta nahi par is baar, shaayad bahut din baad....EXCEPTIONAL

Bhatakta bhatakta kahaan se pahuncha yaad nahi, par bahut shukriya...likhti rahein.

ritusaroha said...

main jaanti hun tum kahan se hoke aaye hogee....thanxxx......

Anonymous said...

kahan ho aap....miss u....aao naaaaaaaaaaaaaaaaaa