Thursday, September 27, 2007
Wednesday, September 26, 2007
barsat
हम कभी ना समझ पाए के ,
क्यों बरसता है आसमाँ गरज गरज कर ....
क्या यह बूंदे आंसू है उसके
या भिगोता है वोह हमें खुश हो कर....
या भिगोता है वोह हमें खुश हो कर....
कभी लगता है के
वोह रो पड़ा है ,मेरे दर्द पर ,
और कभी लगता है के वोह हँस पड़ा है ,
मुझे खिलखिलाता देख कर ...
कभी लगता है के वोह बरसता है बुझाने को धरती कि प्यास ,
और कभी लगता है के वोह करता है ग़ुस्सा गरज गरज कर ...
काश होता उसके इजहार का तरीका अलग,,
हम भी समझ पाते कब वोह हँसता है कब वोह रोता है ........
......ऋतू सरोहा
Monday, September 24, 2007
zindgi ka naya mod
unki tasveer meri ankho me samai hai,
zindgi mujhe kis mod pe layi
jikr kar rahi hu main unka
aur unki har baat mere lab pe samai hai....
ajab mod pe zindgi mujhko layi hai
main to manu tere dard ko apna,
aur tu kehta hai tu mere liye parai hai..
kya samjhu main ise teri majburi,
ya yeh sanam teri bewafai hai
jane kis mod pe zindgi mujhko layi hai
chuu liya hai teri chahat ne jahan mujhko
wahi sanam mere dil ki gehrai hai..
karke jhootha inkar mujhe
kya khub tune meri chahat azmai hai..
main sabke samne keh to du dil ki baat
par main janu isme hum dono ki hi ruswai hai
ek anchahe mod pe zindgi aaj mujhko layi hai....
[year 2005]
khota naseeb
Friday, September 14, 2007
maikhana dard ka
chot khayi hai gar mohbbat me,
to dard seene se laga ke pee
yaha koi nahi hai tujh pe hasne wala,
tu sar utha ke pee
maikhane dard ke me saki aa ke pee.....
gar utarti nahi tere gale se shrab,
to mehbbob ka naam mila ke pee
yaha lakho hai mohbbat me hare hue
tanha nahi hai tu,mehfil saja ke pee
maikhane dard ke me saki aa ke pee.......
tikte nahi gar zamin par paaun tere,
to dagmaga ke pee
mehka ke dil me chahat ki yadon ko
tu shan se aake pee
maikhane dard ke me ishq ko dav pe laga ke pee....
maikhane dard ke me saki aa ke pee......
ritu saroha
Thursday, September 13, 2007
main ek bewafa hu
chada do suli,jala do mujhe
maro mujh pe pathar aur mita do mujhe
jo smajh na saki kisi ki chahat hu main
ek bewafa hu main....
le lo mujh se meri hasi,bhar do ashk ankho me
cheen lo mujh se mere apne aur chod do tanha zamane me
jo ban gayi kisi ke dard ki wajah hu main
ek bewafa hu main....
jala do mera chahra,khtam kar do rup rangat bhi
mita do mere khwab aur meri masumiyat bhi
tod na saki jo zamane ke bandhan hu.....
kabul hai mujhe yeh ilzam
ek bewafa hu main
haan bewafa hu main
Wednesday, September 12, 2007
bewafai
Monday, September 10, 2007
chahat
Barso se apni hi aag me jal rahi hu main
ab rakh ho jana chahati hu....
jal jaye jo chingari ke choo lene bhar se
main lakh ho jana chahati hu....
lagaye mera mehboob jise lab se
main nashe ka jaam ho jana chahati hu...
gar yun mumkin hai un se ikbar judna
to haan main badnaam ho jana chahati hu.......
daaba do ab mere jinda jism ko
main matti me mil ke, khak ho jana chahati hu.....
gujar ke aayi hu main zamane ki tang galiyo se
do bund gangajal la do,main pak ho jana chahati hu......
ab rakh ho jana chahati hu....
jal jaye jo chingari ke choo lene bhar se
main lakh ho jana chahati hu....
lagaye mera mehboob jise lab se
main nashe ka jaam ho jana chahati hu...
gar yun mumkin hai un se ikbar judna
to haan main badnaam ho jana chahati hu.......
daaba do ab mere jinda jism ko
main matti me mil ke, khak ho jana chahati hu.....
gujar ke aayi hu main zamane ki tang galiyo se
do bund gangajal la do,main pak ho jana chahati hu......
ritu saroha
main badnaam
na ab zamana dega taaane ,
na koi apne khafa hone payega....
yeh badnaam marte marte ishq ko sath leta jayega...
bas pal bhar ko kar lene do matam,
is badnaam ki lash par koi rone na ayega..
ye jate jate ishq ko sath leta jayega...
hum lota denge khuda ko uski sogaat,
dekhe woh iske diye zakhmo ko kaise see payega...
yeh badnaam jate jate ishq ko sath leta jayega...
hum bhi dekhenge woh is dard ke sang kaise muskurayega..
rokega kab tak ankho me,ansuu kab tak na baheyga..
vaada raha yeh badnaam jate jate ishq ko sath leta jayega...
na koi apne khafa hone payega....
yeh badnaam marte marte ishq ko sath leta jayega...
bas pal bhar ko kar lene do matam,
is badnaam ki lash par koi rone na ayega..
ye jate jate ishq ko sath leta jayega...
hum lota denge khuda ko uski sogaat,
dekhe woh iske diye zakhmo ko kaise see payega...
yeh badnaam jate jate ishq ko sath leta jayega...
hum bhi dekhenge woh is dard ke sang kaise muskurayega..
rokega kab tak ankho me,ansuu kab tak na baheyga..
vaada raha yeh badnaam jate jate ishq ko sath leta jayega...
ritu saroha
maa mujhe chand de de
main jal jaungi maa suraj ki tapish se,
mujhko chandani ka aasra de de...
mita de jo mere dil ke andhero ko,
aasman ka woh roshan sitara de de...
maa mujhe chand pyara de de
chutt rahi hai mujh se mere jeene ki umeed maa,
chlti rahe jo sanse aisa ek khwab suhana de de....
manjhdar me dub rahi hai meri nayiya,
usko smundar ka kinara de de .....
maa muhe chand pyara de de
jal raha hai mera jism dard ki chilchilati dhup me,
mujhko kushiyo ka woh mausam suhana de de......
tut raha hai mujh se meri sanso ka silsila,
phir se jee uthne ka bahana de de...
maa mujhe chand pyara de de
phir apno ka zamana de de............
ritu saroha
mujhko chandani ka aasra de de...
mita de jo mere dil ke andhero ko,
aasman ka woh roshan sitara de de...
maa mujhe chand pyara de de
chutt rahi hai mujh se mere jeene ki umeed maa,
chlti rahe jo sanse aisa ek khwab suhana de de....
manjhdar me dub rahi hai meri nayiya,
usko smundar ka kinara de de .....
maa muhe chand pyara de de
jal raha hai mera jism dard ki chilchilati dhup me,
mujhko kushiyo ka woh mausam suhana de de......
tut raha hai mujh se meri sanso ka silsila,
phir se jee uthne ka bahana de de...
maa mujhe chand pyara de de
phir apno ka zamana de de............
ritu saroha
kuch ansulze sawal
Gar hoti hai har baat khuda ki marzi se,
to insan ke karmo ka hisab woh rakhta kyun hai.....
sukh jana hi hai usko ik roz,
to patta dali par panapta kyun hai....
darta hai badnami se is kadar,
to yeh dil pyar karta kyun hai....
jalna hi hai mukkadar uska,
to mom pani sa pinghalta kyun hai...
fana karna hi hai mohbbat ka maksad,
to jism usme nikhatra kyun hai.....
mit jana hi hai ek din,
to yeh jism janam leta kyun hai...
insaniyat hi hai majhab sabka,
to koi dabta to koi jalta kyun hai...
ritusaroha
Subscribe to:
Posts (Atom)