kah ke beti na khud se
juda kar maa
kuch din aur mehkne de
tere angan me
abhi na vida kar maa
mujhko itna bata de
maa zara
jis ghar me hun rehti
woh parayi kehte,
jis ghar jati
woh paraye ghar ki kehte
phir main kiski hun
apni bata
main prayi hun to
umar bhar rishta nibhate kyun hai
malum hai ik roz chali jaungi
dil lagate kyun hai........
har yug me uthe
yeh sawal lazmi hain
bebasi to dekh aurat ki
ji se kiye sawal
woh khuda bhi ek aadmi hai......
jane khuda ne reet kaisi hai banayi
kokh wahi hai khun wahi hai
woh beta hai apna
main beti hun parayi......
ritu saroha