Friday, March 27, 2009

sona


"chaand pe
to chandi hi
sazegi"
kitne pyaar se
behlaati thi maa
tum jab sone
ke bundoo se
mere kaan pak
jaaya karte the....
aur tum choti choti
chandi ki baaliyan
laati thi mere liyee...

kitna daan-ti
thi na maa tum
jab mitti me lot pot
ho kar khelti thi.....

pata hi na chala maa
woh bachpan ka
mitti ka ghada
kis roz foot gaya...
woh chandi ki baaliyan
kab ghat gayi...

magar maa
kyun baba se
kaha hai tumne
ki meri chanda ke
liye sone sa
shehzada dhund do

jaanti hun maa
aaj bhi mera mitti
me ghulna tumeh
pasand na aayega....
magar tum yeh
kyun bhul gayi ke
sone se aaj
bhi mere kaan
pakte hain.....

---ritu saroha----