Wednesday, May 21, 2008


tu ab bhi
baki hain mere
mausam me
kahin na kahin

woh pehli mulakat
ki yaad ab bhi thithur rahi hai
december ki sardi me

woh judai ka kissaa
bas sukh ke
shakh se tutne ko hi hai....

mud ane ka vada tera wahin kahin
loo ke thapedo me atka hua hai.....

teri tasveer ab bhi
meri ankkho ki barish bhig rahi hai

tujhko meri
murado ke mausam ki kasam hai aajaa
bhale na thahare
na sahi
ek bar khud ko in yadon se mita ja


yaro se kah diya hai maine


han main ab yeh gam ka mausam badal dungi..........


ritu saroha

3 comments:

स्वप्निल तिवारी said...

tumhe.n kya kahu.n.....
tum ne jaan liya hai ki nazmo.n ko kaise janm dete hai.n...
fir ye bhi to pata hai ki kitna waqt lagega in nazmo.n ko balig hone me.n...
un nazmo.n ko kab sazna hai...kab sa.nvarna hai..! sab pataa hai tumhe...

yu.n hee kahtee raho..yu.n hee takhleeq deti raho nazmo.n ko....

डाॅ रामजी गिरि said...

So many shades of Mausam in d journey of luv n separation...
मोहब्बत के इस ज़ज्बे को सलाम... बहुत touchy है ,Dear.

दिपाली "आब" said...

kitne mausam bakhane hain yahan ishq ke
sach, ishq ka har mausam behtareen aur khud mein alag hota hai..
bahut khoob mere dost...