Thursday, September 13, 2007

main ek bewafa hu


chada do suli,jala do mujhe

maro mujh pe pathar aur mita do mujhe

jo smajh na saki kisi ki chahat hu main

ek bewafa hu main....


le lo mujh se meri hasi,bhar do ashk ankho me

cheen lo mujh se mere apne aur chod do tanha zamane me

jo ban gayi kisi ke dard ki wajah hu main

ek bewafa hu main....


jala do mera chahra,khtam kar do rup rangat bhi

mita do mere khwab aur meri masumiyat bhi

tod na saki jo zamane ke bandhan hu.....

kabul hai mujhe yeh ilzam

ek bewafa hu main


haan bewafa hu main

2 comments:

Unknown said...

hi....
me vinay bansal.....
ur colection of quates is superb..!!

दिपाली "आब" said...

khud ko bewafa koi nahi samajhta
tumne yeh bhi had paar kar di..
amazing..
aur kya kahu