Monday, September 10, 2007

maa mujhe chand de de

main jal jaungi maa suraj ki tapish se,
mujhko chandani ka aasra de de...
mita de jo mere dil ke andhero ko,
aasman ka woh roshan sitara de de...
maa mujhe chand pyara de de
chutt rahi hai mujh se mere jeene ki umeed maa,
chlti rahe jo sanse aisa ek khwab suhana de de....
manjhdar me dub rahi hai meri nayiya,
usko smundar ka kinara de de .....
maa muhe chand pyara de de
jal raha hai mera jism dard ki chilchilati dhup me,
mujhko kushiyo ka woh mausam suhana de de......
tut raha hai mujh se meri sanso ka silsila,
phir se jee uthne ka bahana de de...
maa mujhe chand pyara de de
phir apno ka zamana de de............


ritu saroha

3 comments:

Anonymous said...

hmmmmm kooool nice yaaar... tum toh acchii sayaar hai..main toh sochta tha ki aiwe he likhtii hogi...
kooool keep it up....

Pawan Prasad said...

Hey I have just watched your Blog it was damm good, well just wanted to know that are you wrote these lines........??

EkNazariyaa@blogspot.com said...

really nice line....