Monday, September 10, 2007

kuch ansulze sawal


Gar hoti hai har baat khuda ki marzi se,
to insan ke karmo ka hisab woh rakhta kyun hai.....
sukh jana hi hai usko ik roz,
to patta dali par panapta kyun hai....
darta hai badnami se is kadar,
to yeh dil pyar karta kyun hai....
jalna hi hai mukkadar uska,
to mom pani sa pinghalta kyun hai...
fana karna hi hai mohbbat ka maksad,
to jism usme nikhatra kyun hai.....
mit jana hi hai ek din,
to yeh jism janam leta kyun hai...
insaniyat hi hai majhab sabka,
to koi dabta to koi jalta kyun hai...
ritusaroha

3 comments:

अमिय प्रसून मल्लिक said...

Bahut achchhi lagi apki ye ghazal.sach mein,dil ko chhoo gayi.ek pal ko laga ki khud ko hi padh raha hoon.bahut achchha likhti hain aap.mera sadhuwaad sweekarein...!

Anonymous said...

bht hi acha likhti hai aap
sachi main dil ko chune wale kalaam hai saab ke saab

likhte rahega

aur aap apne kalaam hamare sath yaha bhi share kar sakti hai

www.funstation.in

nitingupta said...

Achcha hai bahut achcha hai.....http://www.nitindewas.blogspot.com/