Monday, September 22, 2008


chaar deewar
ek chatt
purane ho chuke
sangmarmar ka farsh
naya pankha
aur deewar par tange shiv ji ka calender
wahin upar laga makdii ka jala
aur ek khidki
jis se chan kar aati hawa mujhe
bahar ka mausam batati
mujhe kisse sunati...

bas yehi hai meri duniya
haan mukkamal nahi
kyunki yahan zindgi nahi rehti
use dekha to hai maine
khidki ke bahar
kabhi aakash me udte...
kabhi titliyo ke sath
pedo pe jhumte...
barish me baraste kabhi
kabhi dhoop me machalte....

par na main kabhi bahar gayi
na kabhi woh khidki ke bheetar hi
mujhe milne aayi......

magar haan sach hai
main ab talak zindggi se ajnabi hun.....

--ritu saroha---