
unki tasveer meri ankho me samai hai,
zindgi mujhe kis mod pe layi
jikr kar rahi hu main unka
aur unki har baat mere lab pe samai hai....
ajab mod pe zindgi mujhko layi hai
main to manu tere dard ko apna,
aur tu kehta hai tu mere liye parai hai..
kya samjhu main ise teri majburi,
ya yeh sanam teri bewafai hai
jane kis mod pe zindgi mujhko layi hai
chuu liya hai teri chahat ne jahan mujhko
wahi sanam mere dil ki gehrai hai..
karke jhootha inkar mujhe
kya khub tune meri chahat azmai hai..
main sabke samne keh to du dil ki baat
par main janu isme hum dono ki hi ruswai hai
ek anchahe mod pe zindgi aaj mujhko layi hai....
[year 2005]
2 comments:
It's a nicely written ghazal...n the shayra 'ritu' have tried to poure aal kind of emotions in every sher....
yeh lafz tere nahi, yeh lafz mere nahi.
yeh us toote dil ki kahani hai;
yeh zakhm tere nahi , yeh zakhm mere nahi,
yeh us bewafa ki karstani hai.....
baldev
baldevchadha@yahoo.com
baldevny.tripod.com
Post a Comment